Hello dosto, Agar aap naye blogger hai ya blogging suru karne ja rahe hai to ye post aapko jarur padhna chahiye . blogging me successful hone ke liye niche bataye gaye 5 baton ko dhyan me rakhna bahut jaruri hai. naye blogger jankari ke kami ke karan suru me kuchh mistakes karte hai. ye jankari aapko unn mistakes se bachane me help karega.
Page Contents
Naye blogger ke liye 5 jaruri jankari
#1 Custom Domain ka Istemaal
jyadatar naye blogger free subdomain (blogspot.com, wordpress.com etc) ka use karte hai. ek serious aur professional tarike se blogging karne ke liye custom domain bahut jaruri hai.
Aapke custom domain ka age jitna jyada hoga bwo utna hi search engine aur alexa ranking ke liye achha hoga. jab aap custom domain ka use karte hai to aap uske liye apna backlink banana shuru kar dete hai. backlink page ranking aur search engine ke liye bahut jaruri hota hai.
Ye Post bhi Pade:
- Badiya Domain Kaise select kare
- Domain kaise Kharide website ke liye
- Blogspot me Domain kaise Add kare
#2 Blog Design and Custom Template
Jab koi visitor aapke blog par aata hai to sabse pehale weh blog ke design ko dekhata hai. agar aap apne blog visitors par accha asar chhod na chahte hai to sabse pehle ek acha sa SEO friendly custom template ko apne blog par set kare. custom template se blog ko ek professional look milta hai.
#3 Dusare blog ke content ko copy mat kijiye
Apna jo Competitor hai usse Sikhe, par kabhi usko Copy naa kare. Agar Copy Kiya to samjho mare.
Jack Ma
Kuchh naye blogger dusare blog ke content ko copy karke sidha apne blog par publish kar dete hai. shayd isliye kyoki unko blogging aur copyright ke bare me achhe se jankari nhi hota. aur kuchh log jinko copyright content ke bare me jankari hota hai we dusare blog ke content me thoda sa change karke apne blog par publish kar dete hai.
Isase we apne blog ke SEO ko kharab karte hai. Agar aap aisa kuchh kar rahe hai to samajh lijiye ki aap google se achhi traffic kabhi nahi paa sakte hai. kyoki google ab bahut hi advance ho gaya hai weh inn sabhi duplicate posts ko aasani pehchan leta hai. aap hamesha original post ko hi publish kare.
Agar aap Original Content Publish karege to Google to aapki post ko rank karega hi, uske sath jo user aapke blog par aayega wo bhi aap ki Post ko pasand karenge, jo unko sirf aapke blog par milegi.
Ye Jarur Pade: Post Copy karne ke Fayde or Nuksaan
#4 Apne Interest ko pata kijiye
Jisme Interest hai Agar wo kare to Paise Piche Bhagte hai.
Rohit Mewada
aap kabhi bhi aise chij par blogging mat kijiye jisme aapka interest hi naa ho. aap sabse pehle apne interest ko pata kijiye kyon ki lambe samay tak blogging karne ke liye usme interest hona jaruri hai.
Apna Interest kaise pata kare uski jankari yaha hai, aap uski madad se sabse pehle to apna interest pata kare.. ham kis kis topic par blog bana sakte hai uski list aapko yaha mil jayegi.
#5 Dhairya ( Patience) rakhe
Sabra ka Fal Mitha hota hai ye to suna hi hoga aapne..
jab blogging suru karte hai tabhi se paisa kamane ke bare me mat sochna shuru kijiye. sabse pehle apne blog par quality post likhane aur traffic ko badhane par focus kijiye.
blogging me successful hone ke liye aapke patience ka hona bahut jaruri hai kyoki isame samay lagta hai. bahut se naye blogger patience me kami ke karn kuchh samay bad blogging chhod dete hai. Lekin lage rahenge to dheere dheere aapko safalta jarur milega.
Imp tips: lage rahiye. aap jarur successful honge.
At Last:
Ant me agar aapko me kuch tip dena cahu, to me sirf aapse yahi kahunga, starting me aap paise par ya jada traffic par focus naa kare, sabse pehle sikhne par focus kare… jese jese aapko sabhi chijo ka knowledge hote jayega automatic aapki traffic bhi badegi or income bhi.
Also Read: 70+ Blogging mistakes Jo Blogger ko Nahi karni Chaiye
bhai mere sawal ka kuch to jwab do
Bhai me apko 7 mahino se follow krke ek website bnai TravellersTrip.com joki blogger pr he mene apki post se load kya hua template lagaya boht sari setting me apke supprt se kar gaya mgr me site design me preshan hu kya mje wordpress use krni chahiye
ap is waqt konsa template use kr rahe or kis pr plz suggest &help me in detail.
Bhai mene 7 mahino se apko follow karke ek website bana li he par ab mje thori dikkat he mene apki post me jo template apne diya wo lagaya blogger me mgar me design set nahi kar pa raha hu plz
mje y btao is waqt ap konsa template or kis par chala rahe ho meri site ka naam TravellersTrip.com he or uske design ko lekar boht preshan hu plz help me in detail
sir maine aapko fb par mesege kar diya hai. Aap check kar lo
aap muje apni site ke liye content writing ki job me rakh skte ho
aap muje facebook par message karo.. me aapko bataoa aapka kya karna hai or me kis trha aapko payment karuga..
Rohit ji,
Kripya karke ye bataiye ki Jetpack comment box ke 404 error ko kaise fix karte hain? aapki badi mehrabani hogi as i am facing this problem on my blog from past 5 days. please advice thanks.
godady jada accha hai ya big rock plzzz reply ?
wese to dono badiya hai.. me godaddy use karta hu or muje kabhi koi problem nahi aai..
Achha lekh hai
Agar mein godaddy se hosting lekr WordPress blog install kru ?? Toh baad main use manage kaha se krunga mean log in to dashboard plz bataye ??
wordpress ko login karne ke liye aapki site ke link ke aage wp-admin link open karne par aata hai .. login karne ka option.. jese http://www.wordpress.com/wp-admin
Great Post Rohit
Kya hum sirf doamin kharid kar hosting kharide bina wordpress par blog bana sakte hai
nahi.. wordpress blog ke liye hosting lena bhi jaruri hai..
Sir aap mere blog ko check kare or kuch tips de
Aapne ye site bnane ke bad kon konsi template use kiye sabke bare me btaye
hello dosto ram ram sa
mukesh singh chouhan patlai postmandirpur pan. sameti dag dist jhalawar satek rajsthan india
Rohit ji..
mere blog me kuch post Hindi language me hai ,aur kuch post Apke blog ke language ke trah hai
to agar mai adsense apply karti hu to language form me kya fill karna hoga .. Hindi ya English
mai apki site ke liye post likhna chahta hu. Aap muje hmh ke liye content writing ke liye rakh skte hai. Mai aapko achhi se achi post dene ki koshis karuga
Maine blog bnaya but open kaise kru…mere blog ka name helpkaifi. Com hai..to google me search kRtá hun to kuch or ata hai
एक और mechanical engineer को blogging करते देखना बहुत अच्छा लग रहा है. hindimehelp.com के जरिये आप बहुत अच्छा काम कर रहे हैं . आपकी सफलता वाक़ई काबिले तारीफ़ है .
rohit bhai mene ye domain kharida hai is nam se kisi ko koi paresani ho sakti hai kya kyu ki yesa hi ek website .org jisme cups me s ni hai ki worldcup orgnizaton ki hai
Very Informative post thanks as i am new in this field
Wellcome msrawat ji in blogging world :)
Rohit ji,
Kripya karke ye bataiye ki Jetpack comment box ke 404 error ko kaise fix karte hain? aapki badi mehrabani hogi as i am facing this problem on my blog from past 5 days. please advice thanks.
aap jetpack comment ko disable kar dijiye or jo defult comment hai wordpress ke usko use kare.. abhi usme koi problem aa rahi hai.. mene bhi usko disable kar diya hai
Sir main apna blog wordpress par transfer karna chahta hun transfer karne ke baad mujhe kya kya change karne honge main ye janna chahta hun please sir mujhe bataye
Sir m apne blog pr adsence kesea laagau sir thoda details s batana please
sir ji maine EK BLOG BANAI HAI USPAR MAI KHUCHH KAR NHI PA RAHA HUIN
Kuch kar nahi pa rahe ho se kya matlab hai… Agar koi problem aa rahi hai kahi to wo batao
Hello gud morning.. Kya main apne Blog ko bina Domain liye wordpress pr move kar Sakta hun..please bataye aur.. Kya Hosting leni Jaruri hai
Jaise ke mera jo blog hai Wo Blogspot main hai kya us se Hosting le Sakta hun.. Ya phir bina Domain add kiye hue bhi Hosting le Sakta hun…
bhai main koi bhi Atm se Domain le Sakta hu…kaise hoga payment bataye…
Sir kya main apna Blog ko bina Domain liye aur
hosting le Sakta hu… aur WordPress par transfer kar Skata hu…please help me confused ho raha hun.,
psccg.blogspot.in ke bare me kuch btaiye.. isme kuch kami ho to please rply kijiyega
Paypal se Payment Recive krne ke liye , Credit/Debit link karne ki jarurat hai kya Bro ?
Kyuki Mera Debit card accept mhi kar raha Paypal
nahi.. par agar us payment ko bank account me lena hai to jaruri hai.
thanks you Bhai , Ye kaam ki Jaankari hai. aur new bloggers ke liye Jaankari Share Karte Rahe
Aapne jo link add ki thi.. Is type se HMH par allow nahi kiya jata.. Please aage se aese naa kare.. Usse aapka koi Faida nahi hoga.
Rohit bhai main blog banana chahata hoon. Par koi jankari nahi hai iske bare main. Kya aap bata sakte ho kahan se start karu?
sir apne blog mai kiya alexa free mai add kar sakte hai agr ha toh kasie
Alexa rank free hi hoti hai.. Kaise add kare uski jankari. E jald hi share karuga.
nice post sir ji,,
bahut kaam ki chiz hain ye aapka post
sir, aap kon se bank use karte hain online karowar k liye??? kon se bank achha hain???
HDFC, SBI, PNB, UBI me account hai mere or sab hi badiya kaam karte hai.. paypal se payment karne ke liye HDFC ka platinum card best hai.
भाई आप की बताई हुई बातों को अक्सर ही नया ब्लॉगर सीरियसली नही लेता। पर यहीं बाते ब्लॉगिंग का आधार होती हैं।
Sahi kaha.. jisko jitni jaldi samaj aa jaye itna hi acha hota hai.
rohit ji google adsense ke liye review time kitana lagta hai.
India me to kuch jada hi hai.. 1 mahina tak lag jata hai kisi kisi ka to..
Adsense mei meri website ke ad pe Click ho gaya galti se mene usi time tab close kar diya account block to ni hoga na ?
nahi.. par aage se aesa diyan rakhe.. :)
Rohit mere blog ko AdSense se approval to mil gya par ad code lagane par khali show ho raha hai. Par vahi code jb main blog ko customise karta to dikhte hai esa kyo…
abhi tak google ka koi email nahi aya Aur ad sense ye show nahi ho raha hai. me kaya karu . add kab show hoge .please answer dijiye.
स्वयं अपनी वेबसाइट पर विज्ञापन दिखाने के अपने अनुरोध को पूरा करने के लिए, आपको hindionlinehelp पर अपना विज्ञापन कोड लागू करना होगा. उस डोमेन पर आपके विज्ञापन कोड को इंप्रेशन मिलने के बाद ही आपके अपग्रेड अनुरोध की समीक्षा की जा सकती है
Rohit ji AdSense को कब अप्रूवल कर सकते है
AdSense अप्रूव होने पर क्या इसे mobile से blog लिख सकते है , mobile से ब्लॉग लिखने पर AdSense काम करेगा कि नहीं।
aap blog kahi se bhi likhe.. usse adsense ko koi fark nahi padega..
रोहित सर थैंक्स इस पोस्ट के लिए। सर मुझे ये जानकारी चाहिए कि मेरे एक ब्लॉग ब्लॉगर पर है जिसे एडसेंस का अप्रूवल मिला हुआ है, क्या इसी अकाउंट के एड को मैं मेरे दूसरे ब्लॉग जो वर्डप्रेस पर है उसमे उपयोग कर सकता हूँ? प्लीज रिप्लाई,
haa bilkul kar sakte ho kitni bhi site par.. par bas itna diyan rakhe agar jitni bhi site par use karoge agar un sites me se kisi ek site ne bhi Google Adsense ki terms ka ulaghan kiya to aapka account ban ho sakta hai.. baki aap kitni bhi site par use kar sakte hai usse koi problem nahi hai.
Sir Mai mobile se blogging karna chahta Hu
. To usme mujhe kya karna hoga aur income kaise milegi . AdSense ko blog me kaise atach karte hai
aap mobile se bhi kar sakte hai.. par income ki sochne ke liye aapko bhut si bate hai blogging ki jo aapko sikhna hai..
Ravindra thakur ne sahi kaha kyo ki dhre dhre blogger thode bahut ange jaa chuke h mere b vichar aap ko is baat par dhyan dena chahiye and thanks..
Rohit Bahiya …Aapka Motivational Article Padhke bahot Achha Laga.
naye Blogger Ke Liye Ye Tips Bahot Acchi Hai…Aapka Kam Hi hame Kuchh naya karne Ki Prerana Deta hai…. Lage Rahoo..
Ji Bilkul.. meri bhi ye hi soch hoti hai ki mere kaam se jarur kisi na kisi ko help mile..
Rohit sir apne blog mein axela rank widgets kasie add karu aur kiya yeh sirf paid seva hai free nhi
Sir mera jo tech blog hai us per india se kam log visit karte hai bhahar k desh k log zada visit karte hai toh yeh achi baat hai
Ya nhi
Aur sir mera jo tech blog hai uski koi dusari sitee nhi hai per uska youtube per chanal hai toh sir jab domain register kiya tha tab youtube chaek nhi kiya tha ab sir kiya kry domain phir change kru.
Q ki domain copy toh nhi khelayaga
alexa ke liye aap ye post pade
or dusra domain lene ki jarurat nahi hai.. bas agar kisi brand ka name use karte hai jab dikkat ho sakti hai.
Kya Facebook group me image sahit post
Share kar sakte hai agar kar sakte hai to
Kaise kya Google+ ki trah isme share nahi
Kiya ja sakta aur ye jaru bataye ki image
Ke sath kaise share kare
bilkul kiya ja sakt ahai.. bas uske liye hamare blog post me ek image jarur hona chaiye.. q ki jo sabse pheli image hoti hai wo hi dikhti hai.
Rohit ji
Apka blog best hai par kuch Dino se mujhe new jankari nahi mil pa rahi Jo Mai apse except Karta Hu. I know aap family Ki wajha se busy hai..
Pichle kuch Dino se aapke blog me ya to purani jankari new tarike se batye ja rahi ya topic hi alag hai .. Ab apke jyadtar visitors thode bahut expert to Ho hi gye hai jenhe jenhe blog banana aa gya hai…. Or bahut so ke AdSense bhi approved Ho gya hai.. Ab unhe or mujhe SEO , keyword AdSense Income se related post Ki jarurat hai .. Mhuje ye comment karte samaye thoda khrab lag raha hai lekin ye such hai Mai dusri jagh jankari talas karne laga hu …..
Thank comment me kuch Galt Ho to sorry
Really thanks Ravindra… Muje aapke comment se ek naya message mila jo ek sacha dost deta hai or wo ye nahi sochta ki usko bura lagega.. Kal HMH 1 year old ho jayegi.. Fir meri kosis rahegi ki HMH se aapko jitni ichaye hai usse Jada aapko mile.. Really thanks.. Aapke comment ne mera din bana diya..
Rohit ji ham ek adsence code ko kitani bar use kar sakte hai. kya aap bata sakte hai please
kitni bhi bar use kare usse koi dikkat nahi hai.
Rohit,
Mujhe apne Youtube channel ke Liye video Trailor Banana Hai so please tell me how to create for my blog ?
is there any Free Website for Creating channel or free Trailor Templates ? How to add music and ppt In video and also Presentation then how to do it ?
Agar aapke Pass MS13 ya MS16 hai to aap inme ye kaam aasani se kar sakte ho.. ek professional tarike se..
Sir aap mujhe bta skte hain ki aap ne apni website ke end main contact us, privacy policy kaise add kiya hain
iske liye aap apni site ke template me footer code me in links ka HTML Code add karke kar sakte hai.
Nice rohit bhai meri bhi help karo blogging me I am new in this field
Achi jankaari Di rohit Bhai Aapne..
thanks sir, aapne mera guest post publish kiya. soon i will submit another post.
Thanks for Guest Post