Online Mobile Recharge Kaise Kare Full Info in Hindi

Hello Friends aap ye to jaante hi hoge ki Internet ne aaj hamari jindigi kaha se kaha pahuchadi hai, ab hame kahi jane ki jarurat nahi ham apne ghar se hi puri duniya se jude rha sakte hai or apne saare kaam Internet ki madad se kar sakte hai.

ham ek ussi kaam ki baat kar rahe hai jo internet ne hamare liye bhut aasan kar diya hai or hame kahi jaane ki bhi jarurat nahi padti. Online Internet se Mobile Recharge karna.

Advertisements

Online internet se mobile ko recharge kaise karte hai uski puri jaankari hindi me

Mobile Recharge karne ke liye bhut si sites aapko mil jayegi, jinki madad se aap ghar bhete ya apne mobile ki madad se kahi bhi apna mobile ya kisi or ke mobile recharge kar sakte hai. Muje jo sites pasand hai bo hai FreeCharge or PayTM

Page Contents

Online Mobile Recharge karne ke liye kya kya chaiye

Hame online mobile recharge karne ke liye in chijo ki jarurat padti hai –

Email ID, Bank Account ATM or Mobile Number.

  1. Email ID – hame mobile recharge karne wali site par apna account banana padta hai uske liye ek email id hona jaruri hai.
  2. ATM – Jab ham online recharge karte hai kisi site se to hamare mobile recharge ke rupee hamare bank account se kat te hai, uske liye hamare pass Net Banking ya Bank ATM hona chaiye. Jisse ham hamare recharge ki payment kar sake.
  3. Mobile Number – hamara ek Mobile number bhi hona chaiye Q ki iski jarurat hamare account me padti hai.

Also Read:

Online Mobile Recharge Kaise kare

jese ki mene bataya bhut si site hai online mobile recharge karne ke liye unme se ek FreeCharge. Me aapko bataoga ki Freecharge Website se kaise mobile recharge kare. Jannne ke liye Meri Steps ko follo karo.

Recharge karne ke liye aap inki website ka use kar sakte hai ya free inka jo App hai uski madad se bhi recharge kar sakte hai.. dono ki process bilkul same hai.

Paytm se Recharge Kaise Kare agar aapka ye sabal to me aapko bata du, aap online Mobile recharge kisi bhi website se kare same hi process rahega, was design or interface change hoga.

Step By Step Process Online Mobile Recharge karne ki

Step 1:

www.FreeCharge.in par jao, ya fir aap Mobile me Paytm App Download karke usse bhi aasani se kar sakte hai.

freecharge ki website par jao fir sign in karo

SIGN IN par click karo

Step 2:

ab agla page khulega usme agar aapka account phele se hai to aap login kar lijiye ya fir phele apna account bana lijiye.

freecharge par account banaye fir apne account me login kare

  1.  Account banane ke liye SIGN UP par click kare or apni detail bharke apna account banaye.
  2. Agar aap ka Account nahi hai to aap SIGN Up kare, ya fir aapka  Facebook ya Google+ ka account to hoga hi. aap unse bhi Login kar sakte hai or ye bhut aasaan bhi hai. Sign in with Facebook ki button par click kare fir bo Facebook par aapse ek permision magega usko allow karde or fir aap FreeCharge me Login ho jayege.
  3. Agar aapka account phele se hai to yaha par login kar sakte hai

Me aapko Suggest karuga ki aap Facebook se Sign in kare ye Jaldi bhi ho jayega or asaan bhi hai.

Step 3:

Apne FreeCharge ke account me login karne ke baad aapke saamne ek form hoga mobile resharge karne ke liye usme detail bharde

mobile number or amount bhare recharge karne ke liye

  1. Mobile Number daale jispar recharge karna hai
  2. Konsi conpany ki SIM hai bo select kare
  3. kitne rupee ka recharge karna hai bo daale
  4. PROCEED TO COUPONS ki button par click kare

Step 4:

procced ki button par click kare

Ab ek naya page khulega uspar aap dekhege ki kuch coupan giye huaa hai aap chahe to unko select kare ya fir PROCEED ki button par click kare

Step 5:

Ab jo naya page khulega uspar aapko payment karni hai. yaha par payment ke bhut option diya hai. ham Debit Card ko select karte hai.

ATM Card ki detail bhare payment ke liye

  1.  ATM Card ke Upar jo likha ho aap bo Card type me select karle.
  2. Card ke upar 16 digit ka number hoga bo aapko  yaha daalna hai
  3. Expire Date daale, bo bhi aapke ATM Card ke upar di hui hai.
  4. ATM Card ke piche ki taraf ek 3 digit ka number hota hai usko CVV number khate hai bo aap yaha daalde.
  5. Aapke Card ke upar Jiska Naam ho bo daalde. Bhutbaar hota hai ki uske upar kisika naam nahi hota to aap jiska account hai uska naam daalde.
  6. MAKE PAYMENT par click kare

ATM Card Ki Detail

atm card ki jaankari hindi me
ATM Card aage se
  1. 16 digit ka ATM Card Number
  2. Card Expire Date
  3. Card Holder ka Naam. ho sakta hai aapke card me naa ho.
  4. Card ka Type jo is demo card me VISA hai

atm ke cvv number kya hota hai

ATM Card piche se

Step 6:

Make Payment ki button par click karne par ek naya page khulega.

apna password daale payment karne ke liye

ye me apne PNB ke ATM card se kar raha hu isliye aesa aa raha hai ho sakta hai aap ka dusra ATM ho to alag tarike se aaye. ek baat or aapke Bank account me aapka mobile number jarur juda hona chaiye q ki jab ham payment karte hai to ek OTP aata hai hamare paas hame bo daalna padta hai jab payment hoti hai.

OTP Kya hai or iska Kya use hai uski jankari yaha aapko mil jayegi.

*Ek baat ka jarur diyaan rakhe kabhi bhi aap online payment kare to phele site ko dekhle or apne card ki detail kisiko nahi bataye nahi to wo aapke account ka koi galat istmaal kar sakta hai. Kabhi bhi Apna ATM pin kisi ko na bataye.

bank account se mobile recharge ke liye utne paise cut ho jayege ot aapke mobile me balance aa jayega.

Also Read: साइबर क्राइम क्या है | What is Cyber Crime in Hindi

to dosto ab aap jaan chuke hai online mobile Recharge kaise karte hai to ab aapko Mobile recharge karbane ke liye kahi jaaneki jarurat nahi, aap kahise bhi apne mobile ko recharge kar sakte hai.

Agar aapko kahi kuch paresaani aa rahi hai Mobile ko recharge karne me to aap comment karke muje bata sakte hai. me aapki madad karne ki puri kosis karuga. or ye jarur bataye aapko ye jaankari kaise lagi.

Agar aapka Internet se related koi bhi sabaal hai to aap puch sakte hai.

Mobile par Free Recharge kare TrueBalance se, kaise Free Rechange kare kisi or paise kamaye uski jankari aapko yaha mil jayegi.

Ye Bhi Pade:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

527 thoughts on “Online Mobile Recharge Kaise Kare Full Info in Hindi”

  1. Sir mein kitne bar freecharge se online recharge kiya pr nhi hiya mera atm rupay ka hai log raha hai probam hai kya bata skte hai to please batye..

    Reply
  2. sir mene apna account bna liya hai pr jo number bank me register hai uski jagah dusra number dal diya hao jiski vajah se promo code nhi aa rha ab plz aap btaye ki mujhe kya krna chahiye?

    Reply
  3. Rohit ji me nitin dubey from etawah se patrakar bol rha hu mujhe ye btaiye ki mobile ke liye koi esa apps he jis me sbhi file khul jaya kre jese xls power point docoment rar jip file he or bhi file he sb file kuhl jaya kre

    Reply
  4. Sar maine wallet me money add kiya tha wo add nahi huwa bank se toh paisa cut hua likine mere wallt me add nahi huwa aur 3 din huwe abhi faild bata raha hai mujhe paise wapas milge kaise

    Reply
  5. Hi mujhe india se pakistan mere czn ko net recharg karwana hai to plz batao kya esa ho sakta hai or kaise bharwao us ka recharg plz reply…..

    Reply
  6. Thanx rohit g aapki sari baate mujhe bhut achi lagi
    Mujhe kabhi bhi koi pareshani aaye gi to aapko zaroor batonga ok

    Reply
  7. Mujhe freecharge se related jankari chahiye humne 21/3/2016 ko freecharge money add ker rahe the lekin wo nahi hua.aur mera 200 rupya bank account se kat gaya aur free freecharge me add bhi nahi hua hai.mai bahut peresan.kuchh help kijie bataye kai 200 rupya bank me wapas ho jaye.
    Mob 8797419914. .

    Reply
  8. Hame aap se freecharge ki jankari leni hai.hamne 21/03/2016 ko freecharge app me 200 rupye dal rahe the.lekin wo 200 rupya nahi aya hai ab tak.aur bank se paisa kat gaya hai.mera mobile no . 8797419914 aur email address faiyaz13ce45@gmail.com. kuchhh bataye.

    Reply
  9. Comment:sir maine freepaisa softwer downlod kiya hai us me mujhe kuch work karne ke baad balanc mila hai but sir woh balanc recharge nahi ho r hai sir help kijiye

    Reply
  10. hello sir koi eshi website hai kya jo sabhi opreator ka recharge kar sake
    aur recharge karne par thoda hum ko bhi fayada ho

    Reply
  11. Sir me paytam me money add kar rha hu par wo Ho nhi rha he wo sirf prossecing bata rha he kya problem Ho skti he sab Kuch sahi details dal rha hu Fir bi Plz help me

    Reply
  12. Sir pehle mere bank account me jo mere mobile no registered the mere wo number ab band ho gye hai. To sir ab mai apne bank account se apne naye mobile number kese jodu sir. Please help me sir.

    Reply
  13. Sir m ek shopkeeper hu so agar m recharge ka kaam karu to konsi site se karu jisse muge jo demo ya other company ke demo ki tarah profit yani comission mil sake

    Reply
  14. Sir mai freecharge me sab kuch kardiya hu jo jo condition the magar balance add nhi ho rha hai .aur no recent transection to show bta rha plz . Tell me kaise mai recharge kar sakta hu.

    Reply
    • Internet Banking me ham jo bank ki website hoti hai uski madad se apne account ko manage kar sakte hai.. or mobile banking me ham Mobile number se message send karke acount ki detailo le sakte hai..

      Reply