Website Kaise Banaye in Hindi | Free Google Website (Blog)

Hello Friends aaj ham online world ka sabse bade sabaal ke jabab ke baare me jaanege – Website, ji hai website kaise banaye aaj ham ye jaanege.

Agar aap apna online business karna chate ho ya apne kisi knowledge ko duniya se online share karna chate ho to aap ki website hona bhut jaruri hai, or aaj ham janege ki free website kaise banaye Google ki madad se.

Blogger-par free blog kaise banaye

Start karne se Phele me kuch baate hai jo me aap ko batana chata hu ki, ham jo website bana rahe hai bo blogger.com par banegi. Blogger.com Google ki hi ek service hai or ye bilkul free hai, jisko ham Blog bhi bolte hai.

Website (Blog) Banane ke liye kin-kin chijo ki jarurat hai

  1. Gamil account
  2. Computer
  3. Internet Connection ;)

Website (Blog) kaise banaye

Step by step follow karo-

Step 1: www.Blogger.com par jao.

Agar aap ke paas phele se Google account (gmail) account hai to aap us se login kare ya fir phele Gmail par ek account banaye.

gmail is se login kare

Step 2: Blog bnane ke liye New Blog ki button par click kare

New blog ki button par click kare

Step 3: ek naya page khulega

Advertisements

Is page par aap ko apne blog ka tital, uska link (url) or uska template select karna hai. iske baad Create Blog ki button par click kare.
Apne detail bhare

  1. Title – Isme aapko apne Blog ka Naam Likhna hai.
  2. Address – Blog ka kya address dena hai. jo phele se kisi ka naa ho. Badiya Address kaise select kare
  3. Template  – Niche diye huee template me se template ko select kate. Pade kaise Change karte hai Template ko
  4. Create Blog! – Last me is button par click kare.

ye lijiye aapki website bankar teyaar hai.

*Note: ek baat dyaan rake ki aapke blog ki jo link rahegi usme blogspot bhi rahega. matlab maan lijiye aapne blog ke link liya ram to aapke blog ki link rahegi ram.blogspot.com. agar aapko ye blogspot hatana hai to uska bhi tarika hai jo me aapko aage bataoga.

Free website blog kaise banaye Google Par in hindi Video

Blogger Ki Puri Jaankari

Aage jaaniye

Me jaanta hu aapke dimaag me bhut se sabaal hoge, or aap un sabaalo ke jabab bhi chate hoge. agar haa to niche comment jarur kare ya hamare Sabaal Jabaab Section me post kare. or aapko ye jaankari kesi lagi iske baare me comment karke jarur bataye.

Hindi Me Help ka Facebook Group Join kare or apni or dusro ki help kare.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

1,158 thoughts on “Website Kaise Banaye in Hindi | Free Google Website (Blog)”

  1. Bhai Maine Apne Paypal ka kafi time pehle banaya tha aur clixsence per work kiya Mere 8$ ho gaye aur wo paypal me tranfter ho gaye lekin Paypal me paise aane ke baat wo auto transfer ho gaye hai lekin Paypal me mera Puran Bank A/c Number & name hai jo ab band ho chuka hai aur paypal me request pending dikha raha hai aur Canel bhi nahi ho raha hai Bhai please halp karo
    Aaj Hi

    Reply
  2. Paymemt k lye rohit ji meme payumoney ka payment gateway le rkha hai already or domain name bi purchase kra hwa godaddy se bus achi si simple website bnake hosting leke update krni bahir se website bnwa raha hu to 10 se 20- 25 hazar rs maan rhe hai website bnwane k tbi khud bnane ki soch rha hu is bahane experience bi ho jaega khud ko

    Reply
      • Ji bro me always esa hi krta hu jb bi kch smjh m nhi ataa google ya youtube m dekh leta hu but mene ek website bnai wordpress pe to wo m aapko btana chahta hu usme kuch plugin nhi mil rhe hai muje jo mene youtube m se dekh k bnai thi tarika same tha but unki website alg bni or meri alg ye smjh m nhi mene unko mail bi kya but aajtk koi rply nhi aaya well aapne muje rply uske aap dil se shukhriya kehna chahta hu thnx a lot bro

        Reply
  3. sorry me samjha nahi me ye kehna chahta hu k me abi srf ek choti si website bnana hu jis se me apne product sell kar sku online fir baad me jese response to fir badi website bnauga tab tak html or baqi software bi sikh jaunga ek choti si website kese bnai jae plz btaeiye

    Reply
    • haa to aap wordress par bana sakte ho isme kya dikkat hai.

      sabse phela kaam hog aapka ek acha sa template search karo apnisite ke liye. aap jes chahe bese apni site ko design kar sakte ho.

      aap mujse kya jaanna chate ho bo batao ki aapko yaha par ye dikkat aa rahi hai.

      website par agar aap khudke product sale karna chate ho to isme koi dikkat thodi hai. bas mere hisaab se ek dikkat hai to bo ha payment ki. aap payment kaise lege apne girak se.

      Sandy ek baat me aap ko bata du me bhi aapki hi trha hu muje koi coding nahi aati bas code ko dekh kar samaj jata hu ki is code ka kya kaam hai. par me ab plan kar raha hu ki sari languages siki jaye jo online use ki jati hai :)

      Reply
  4. Agr rohit ji me srf product sell krne ke wordpress me website bnao to uske lye to html or in sbki zrurat to nahi padegi na or agr wordpress me bnani ho to wo kese bnae

    Reply
    • inki jarurat to padti hai par hame banaya huaa mil jata hai sirf add karna hota hai. hamari har jarurat ki plugin hame mil hati hai. Aap ek acha sa template jo affiliate marketing or aap ki jarurat me fit aaye aap usko use karke website bana sakte ho

      Reply
  5. sir,mai apne blog me domain set up karna chahta hu,kya .in wala domain blog me set up kar sakte hai,kya aur ye bhi bataye ki .com aur .in domain me kya antar hai

    Reply
    • Aap bilkul .in ka domain le sakte ho.

      .com ek international domain extension hai or .in .pk ye country wise domain extension hai. Bas unse link me fark padta hai or kuch nahi.

      Agar aap India ke liye hi website bana rahe ho to .in Lene me koi dikkat nahi

      Reply
    • Uske liye to sabse phele achi trha se coding aati chaiye. Usme bhut se script ki coding karni padegi jisse chat ho sake. Aap website to bana sakti ho par aapko uske liye puri website ko achi se design karna padega. Or social networking sites ke liye ek team Hona bhi bhut jaruri hai.

      Reply
  6. Rohit ji mujhe electronic products ke lye ek achi si responsive ecommerce website banani hai jo me step by step sikhna chahta hu mujhe html java script php in sb ki koi jaankaari nahi mene wordpress m ek ecommerce website bnai thi youtube pe dekh dekh kr par wo sahi se nahi bani me myntra.com.yepme jse achi website bnanata chahta hu plz help kijye

    Reply
  7. Rohit bhai mere pas meri apni website h or Mai apni website ko google k first page par Lana chahta hun mujhe kya karna hoga

    Reply
    • Ye itna saral nahi hai or bhut se chij karna padta hai.
      Site map google me submit karo.
      Keywords Sahi se use karo.

      Aap jis post me publish kar rahe ho uske baare me google me search karo jisse aapko keywords ka acha idea mil jayega ki log is topic par kya search karte hai.

      Reply
  8. sir muje ek software download karna hai jo video ko edit kar sake video pe hum likh sake video ko chhota kar sake kaat sake esa software mobile pr download kar na chahata hu mobile nokia 5233 link dijie

    Reply
    • Ham jab bhi post dalte hai Hamari site par uski puri list rhata hai feeds me. Koi Hamare blog ko subscribe karta hai to uske email par bhi new post ka email uske paas Jata hai

      Reply
  9. intertenment category ki site kaise banti hai? Site k kon kon se kharch lagenge. Intertenment site ke bareme aap sir jo bhi jante ho vo bataye pz halp me and jawab dene k liye aap ka dhanyvad aap ka student prakash

    Reply
    • Aapko bhi site banao kharch to lagbag same hi aata hai. Aap kuch bhi daalo site par agar aap kuch aesi chij daloge jisse internment. Koi aesa nahi hota ki aap aap catogery select karo. Aap jo bhi daalte ho site par uske site ki catogery me aayegi. Jese meri site tech ki catogery me aati hai.

      Reply
  10. website akag alag category ki banti hai. To a menu wali site kis category ki kahelati hai? Full mp3songs, full song video, software, ringtone, wallpaper, movie, live tv, live cricket, aesi website ko konsi category ki kahete hai?

    Reply
  11. Hi Rohit,

    Kya hum koi blog main hindi main post kar sakte hai . As like ( What’s up messz ki terha ) ya jis terha ye post likh raha hu . ??

    Reply
    • Aare bhai koi bana kar nahi dega, hame khud hi bana hai. Or kaise banegi uski jaankari mene is post me di hai. Or isko kaise edit karte hai bo bhi mene site me bataya hai.

      Agar aapko kisi se site banani hai to uske liye aapko 20000 Rs ke lagbag dena padega. Par Aap khud bhi bana sakte ho

      Reply
  12. sir hindi bhaasa ki website banwani hai. Jisme tv movile mp3 mp4 softwear game vagere menu ki banskti hai? Aur jobhi likhna ho vo hindi mai likh ske. Aur kitna kharch hoga free website nahi banwani ok

    Reply
  13. main Wikipedia me apna account banaya hu account to ban gaya to ab mai usme biodata kaise add karu aor mai apne photo profile me daalna chahta hu ab batao aage mai kya karu help me plz

    Reply
  14. hey frrrr mane domain liya ha blogger pe kase setting karu agar apka pas koe viedo ha to link send kare …………….ple……

    Reply
  15. Maine Wikipedia me apna account banaya hai ban to gya hai lekin usme sirf naam bs huya hai .
    Mai usme apna aor biodata kaise add karu aor hame profile me apne photo add karni hai to ab batao mai aage kya karu. Help me plzzzzzz

    Reply
  16. Maine Wikipedia me account banaya hai .account to ban gaya hai lekin usme sirf maan bhai show karta hai .
    Aor mai usme apna biodata dalna chahta hu aor mai apne profile me apne photo add karna chahta hu ….ab aap batao mai kaise karu….help me plzzzzzz

    Reply
  17. Maine side bana leya hai lekin usme sirf naam bhar show kar raha hai …. baaki ka biodata kaise show karega aor mai apne photo profile me add karna chahta hu toab bataye mai kya karu…. plz rep. Fast

    Reply
  18. sir me apne blog par post kar deta hu par post ka time to ata he par date nhi ati aisa kyo sir aap ak baar meri site check kar lijiye sir me b apne blog par add lagana chahta hu kya useme kya fayda he plz sir bataye.

    Reply
    • Time or Date ki formate change karne ke liye apne blog ki setting me jao >> Language and formatting
      yaha par aap apne blog ka time or date jaise show karna chate ho kar sakte ho.

      Ads lagane se hi apni income hoti hai

      Aapke blog ko mene dekha.
      Kuch widget hai jinko sahi se set karne ki jarurat hai. or aap ka jo template hai usme menu nahi hai aapko add karn chaiye.

      ye widget hai jisko sahi se arrange karo
      TEXT WIDGET
      TEXT WIDGET
      HTTP:// HACKINGBLUE.BLOGSPOT.IN/
      DEFINITION LIST
      ABOUT US
      BLOG ARCHIVE (2 baar hai ek hatao)
      POPULAR POSTS (2 baar hai ek hatao)

      Powered by Blogger. bhi aa raha hai side me usko hatao
      http://hindimehelp.com/blogger-navbar-kya-hai/

      Reply
      • mai apne blog par song post nahi kar paraha hun..
        mene abhi abhin blog banaya he usme post karta hun to sirf video or photo ke opsen aate he…mp3 song or baki file updet nahi kar pa raha hun pliz muje bataye kya karu….aap ka dost

        Reply
  19. रोहित भाई सुन्न मुझे तेरी एक और बार हेल्प चाइये भाई !!!
    भाई मैं कह रहा हूँ की तेरा व्हाटप्प नो नही आ रहा है व्हाट पर
    मुझे भी ऐड कर ले अपने ग्रुप म यह है मेरी नंबर 8860202112

    Reply
  20. No for example adar-card ko bnaker inetnet pr uplod krna ho jisse wo bankr a jaye usse kese kre and or hmare dvara bnaye gye card k pemant b aye

    Reply
  21. Sir app mughe kuch jankari dete hi nhi me blog par site nhi bana paa rha hu problem title to dal deta hu par address not available bata rha h kya karu

    Reply