Hi Friends, aaj main aapke sath ek bahut hi inspirational success story share kar rha hu joki ek indian ki hai. ye story hai world ke World’s Youngest CEO Suhas Gopinath ki. ji haan Suhas gopinath joki banglore se hai unhone kewal 14 varsh ki aayu me apni khud ki company bnayi- Global inc. Aaj ye ek muti- million dollar company hai,
Suhas ne apni company ek chote se cyber- cafe me baithkar bnayi thi aur us time unhen khud nahi pta tha ki ve world ke Youngest CEO ban gaye hai. kya aapko aschary hua? to fir aaiye jante hai unki puri khaani:
Suhas ka janam banglore me 4 november 1986 ko ek middle class family me hua tha unke pita indian army me ek scientist.
Bachpan me inka interest computer aadi me nahi tha balki inka interest to veterinary science me tha. Lekin jab ye apne doston ko computers aadi ke baare me sunte the to inka bhi computers me interest banna shuru hua.
ye middle class family se the to inki family computer afford nahi kar sakti thi, us time unhen 15 rupye har ek mahine pocket money ke rup me milte the. Ve internet cafe par jakar internet surf karte the lekin 15 rupye me ve roj internet surf nahi kar sakte the isliye unhone cafe ke mailk ke sath ek deal ki ki main apne school se aane ke baad 1 se 4 baje tak aapke cafe ko kholunga aur aapke customers ka dhyan rakhunga kyonki veh cafe 1-4 baje tak band rehta tha. iske badle me cafe ka malik use free me internet surf karne dega.
Cafe ke mailk ne uski yeh baat swikar kar lia. ab Suhas ki internet aur computers me ruchi kafi badh gayi aur unhone dhire dhire websites bnani shuru ki. unhone apne aap ko freelancing websites par ek web-developer ke rup me register kar liya. unhone apni pehli website free me bnayi kyonki unke pass apna refrence dikhane ke liye kuch nahi tha. fir unhone ek aur client ke liye website bnayi jisse inhen $100 ki kmai hui.
Read: Website banane ke liye kya kya chaiye
Suhas ke pass koi bank account nahi tha isliye unhone iske baare me apne pita ko btaya. unke pita ne to unka virodh kiya lekin unke bhai ne unhe protsahit kiya. iske baad Suhas ke pass website bnane ke liye kai offers aane lage. Tab unhone apni khud ki ek website bnayi coolhindustan.com ke naam se.
Websites bnane se Suhas ke pass itne paise ikatthe ho gaye the ki ab ve apna khud ka computer kharid sakte the. thode hi din me unhone ek computer kharid liya. jab Suhas 14 saal ke the to US ki ek company ne Suhas ko part time job ka offer diya aur ve Suhas ki eduacation bhi sponsar karne ke liye taiyaar the. lekin Suhas ne unka offer thukra diya.
Page Contents
Company Kaise Banai
jab Suhas ne microsoft company ke baare me padha to unhone apni khud ki ek company start karne ke baare me socha. jab unki 9th class ki chuttiyan khatam hui to unhone apni company Global inc. ki shuruaat ki, unhone apni company ko US me registered kraya kyonki india me 18 saal se kam umar ke log company nahi register kar sakte. unhone apne ek amiriki dost ko apni company ka board member bna diya.
Ve apni company ko lekar bahut hi jyada excited the, aur ve apni company ko microsoft jitni badi bnane ke sapne dekhne lage. Pehle hi saal me unki company ka turn- over 1 lakh ho gya.
Is karan se ve apne pre-board exams me mathematics me fail ho gaye. Isliye unki maa ne unse kasam li ki veh ab padhai par pura dhyan dega, isliye unhone 4 mahine tak apni company par koi kaam nahi kiya aur unhone apne exams first class me pass ki.
ve apni company ko other countries tak bhi bdhaana chahte the, unka apni company ko europe me focus karne ke baare me socha. Inhone apna sabse pehle office spain me bnaya aur iske baad italy me. tab tak inki company kafi famous ho chuki thi. Germany ke ek school ne ihne apne students ko enterprenuership par speech dene ke liye invite kiya.
apni 12 class pass karke inhone engineering college me admission le liya. 18 saal ka hone par inhone apni company ko india me register kar liya aur apna office us cafe ke pass hi khola.
World’s Youngest CEO ke Sath Ghati Ek Ghatna
ek baar banglore ke indian institute of science me desh ke sabhi CEO ko bulaya gya tha isliye Suhas bhi vha par gaye aur jab ve ander jane lage to gate par khade security guards ne unhe pakad liya aur kha ki ‘tum bacche ho, bade logo ke karykaram me khaa ja rahe ho’. Fir Suhas ne aayojakon ko phone lgaya to aayojak bhage bhage aaye aur Suhas ko aadarpurvak ander le gaye.
World’s Youngest CEO Suhas Gopinath ke kuch Photo
Mark Zukerberg success Story yaha read kar sakte hai.
Suhas Gopinath ka Video
World’s Youngest CEO Suhas Gopinath ki uplabdhiya:
- World ke youngest CEO
- 2005 me world bank ke board member bnaye gaye
- 2007 me unhen ‘European Parliament and International Association for Human Values’ ne young achiever award se samannit kiya.
- World economic forum ke abhi tak ke sabse young member
- 2008- 09 ke liye unhen World Economic Forum ne ‘Young Global Leader’ ghosit kiya.
- Alibaba ke founder Jack Ma ne Suhas ke sath start up ke liye partnership ki hai.
To doston aapne dekha ki kaise ek middle class family ka ek baccha apni mehnat ke bal par duniya ka sabse youngest CEO ban gya. agar aap bhi isi prkar se apne interest ke kaam me mehnet karen to yakinan hi aap success prapt karenge. Suhas ne ye sabit kar diya ki agar aapme apne kaam ke prti lagan hai to success prapt karne ke liye umar koi maayne nahi rakhti.
agar aapko ye post acchi lagi hai to please ise social media par share kare. Aisi hi aur bhi posts ke updates paane ke liye hmara free email subscription le aur Facebook, Twitter, Google+ par follow karen.
Agar aapke pass Android App hai to Hindi Me Help ka Android App Play Store se Download kare.
ROhit mewada जी आपकी सुहास गोपीनाथ की स्टोरी वास्तव में टचिंग है ।
आप के ब्लॉग में बार बार आना और सभी पोस्ट को क्रमिक रूप से पढ़ना अच्छा लगता है भाई।
wakai sir apki inspiretion suhas gopinath bahut hi shandar rahi
Sir aapne bohot acchi mortivate story share ki he you are too good
Thanks
sir bahut achchhi story hai aapki mja a gya
Wa Hume inse much shikhna chahiye
Sir meri wabsite me ad nhi aa rhe he code lagaane ke baad bhi to ab me kya karu. .
Html or java scribe me bhi cide dal di…
Sr me success story padakar inspire ho gya. Muze apne lif me khuch karnahi hay. me 1k Artist hu penting banata hu. Me blogg se ya kisi or tarike se payse kama sakta hu. Pez session digia. Pez help mi sr.
sir kya hindi content ke liye permalink men “in hindi ” lagana jaruri hai. par “in” ko to stop word mana jata hai, uske bad aane wale shabdon ko search engine read nahi karta hai. fir to “in’ ke bad aaye “hindi” ko nahi padh jaega.
aapke javav intejar rahega …..
good story rohit ji…keep posting..
Sir mujhe ye janana hai ki kya WordPress par domain jodne ka charge lagta hai kya aur mujhe ye bataiye ki kya apne Hindimehelp.com WordPress se banai hai
sir free domain kon site deti h
free ke liye aap google me search kare.. par itna diyan rakhe jo free deta hai wo free hota nahi hai.. wo free ke badle usse jada kuch le leta hai.. mera suggestion hai blogspot hi use kare ya fir kisi site se domain ko kharide.. ye koi jada mhega bhi nahi hai.
Rohit ji aap mahine mai kitna kama rehte ho
6 figure me hoti hai.. me apni income share nahi kar sakta.
sir blog ke liye template xml farmet mei. Kaha se download kare wo bhi mobile freindly
yaha mene kuch template share kiye hai.. sab mobile friendly hai
sir xml farmet me nahi rahta hai zip file tahta hai.
zip file ke andar hi hoti hai template ki .xml file. aap unzip karke fir upload kare
Sir template jo hai wo xml format me dwnd nai hota
rar ya zip wagera me ho jata
ussi me hota hai.. usko extract karna hai.. uske andar hai template ki xml file
thanks Rohit for such a nice post. aapki iss post se bahut se logo ko inspiration milegi . aapne sahi kaha h ki success pane ki koi umar nhi hoti. or iss bat ko Suhas ne sabit kar diya h.
Sahi kaha aapne
hello sir, I m computer teacher. internet me maine aapka jab HMH dekha to prabhvit hu. Mujhe aapka ye HMH bhaut achha laga or aapke comment bhi achhe lage. Mera ek page “safaltakasutra” naam se facebook me bana hai. or mujhe lagta hai meri usme kamai kuch ho sakti hai. lekin jo usme boostpage me jane paid wale option pr credit card number mangta hai. jabki credit card no mai apna master card debit ka no. deta hu.vo accept nahi karta hai. to kya karu jiise usme kamai ho sake.
jo page me boost ka option aata hai wo hamare page ko jada logo tak phuchane ke liye hai, naa ki usse hame paise milte hai.. par agar aap kisi brand ya kisi affilite link ko promote kare to jarur paise kama sakte hai.. baki facebook hame koi paise nahi deta.. joaapki fb se income ho.
sir mai computer nhi khareed skta mere pas android mobile hai aur mene apne dost ke computer se blog bnaya hai aur mai blogger ka android app se post dalta hu par android app se kewal text aur ek photo lga skte hai full version me post nhi hoti hai toh mai kya kru aur app se SEO post bi ni hoti hai
App Android App me Post ko likh kar draft me save kare.. fir Apne Chrome Browser me Desktop version me blogger deshboard ko open kare fir jo bhi change karna ho wo kar ke post publish kare.
रोहित जी बोहुत बोहुत बढ़िया लिखा है आपने ऐसे ही प्रेरणादायक लेख पढ़ कर आगे जाने में आसानी होती है बेस्ट ऑफ़ लक एंड धन्यवाद इस बेहतरी लेख के लिए ..
Thanks Niraj Ji
hello
sir kya aap bata sakte h ki apne kounsa tmlete use kiya h
Sir ji mere blog pe fb like box sirf web version me hi dikhta hai mobile version me kyo nahi dikhta. Aisa kyo?
aapne apne mobil template ko enable kar rakha hoga.. usko off kare.. or koi mobile friendly template use kare.
bhut acchi story he !!! or bhi send karo !!
ji bilkul Kamlesh ji.
yaad rakhna mujhe bhai meri adsense approv ho jaye phir dekho aap help me kaise karta hu mera rply nai de rahe the na
Sir http://hindimehelp.com ek website hai ya phir bloge ko domain se joda hai, mujhe ye bataiye ki aapki website itni attractive kaise hai hame bhi apke jaise hi website chahiye
Mera blog hi hai.. Or design or quality contact hai uska raaj.
website se blogspot ko kaise hataye
Aur post kaise kare
Mobile me use kar sakte hai
Domain add kare
Aap Android app ki madad se kar sakte hai.. or Mobile me blogger ki site open karke bhi kar sakte hai.. desktop version me open kare.
Rohit sir mera ek question hai ki, Aap post me image ko edit karne ke liye konsa photo editor use karte hain . Please u se Download karne ki link de.
snagit, Photoshop, paint, or online picmonky or canva use karta hu.
Rohit sir aap mera geust post nahi pablish karenge.
Agar usme kuch kami ho to bataye .
kya aap meri site visite kar sakte h i think mere blog me kuch problem h koi visiter hi nhi aata h so plz
your blog is better
aap apni post ko promote kare.. abhi new hai to thode kam hi visitor aate hai.. aap ye pade
ek baat bolu bhaiya apko ek etra menu add karna chahiye jo sakses story k naam se honi chahiye
anytimehelp7.blogspot.com
Thanks for suggestion..